
Mumbai Indians par lag chuki hai zabardast panoti, IPL ki series melagataar jitne ke baad, Mumbai Indians ki winning streak tut chuki hai. Iss haar ka sabse zyada dukh Mumbai Indians team ki malkin Nita Ambani ko hua. Chaliye dekhte hai kaise Punjab Kings ne Mumbai Indians ki winning streak todi aur hara diya.
Sabko lagta tha ki Mumbai Indians unbeatable hai, aur ab harne ke baad aisa lag raha hai jasis kisine nazar laga di ho. Aaakhir Nita Ambani ke match se pehele ke mantra tanta kab tak chalenge.
Darasl IPL ki maujuda series me lagatar shandaar pradarshan karne wali Mumbai Indians ko Akkhirkar haar ka samna karna pada aur vo bhi punjab jaise team se ko aksar “kabhi kabhi chamatkar kar jaati hai” category me aate hai. Ye team keliye kafi sharmindagi ki baat ban chuki hai. Iss match me MI ki winning streeak ko todkar sabko hairan kar diya aur shayad thoda hasaya bhi.
Match khela gaya Ahemdabad ke stadium me. Mumbai Indians apni 4 lagatar jeeto ke josh ke sath maidan me aayi. Balle baji karte hue MI ne score to khada kiya. 178 runs par jisme sirf Surya Kumar Yadav ne ek baar fir “Sky is the limit” wala andaaz dikhaya aur 62 runs ki paari kholi. Lekin Jawab me jab Punjab batting karne utrri to laga tha ki MI isse aarams edefend kar legi. Tabhi hi Prabhsimran Singh aur Liam Livingstone ne milkar aisi dhulai ki Jofra Archer ki balls confused ho gayi.

Punjab Kings ne 3 balls rehte hi match jeet liya aur MI ke dugout me pasra tha sannata. camra ne jaise hi Nita Amban ko dikaya to unke chere par disappointment saaf dikhai de rahi thi, Twitter par fans ne likha “Lagta hai Ambani ji ka expression bhi stock market ki tarah down ho gaya!”
Ab har baar haar ke baad social media par panoti shabd tredn karne lagta hai, to MI ko bhi baksha nahi gaya. Ksi ne likha “Jis din Rohit Sharma ne smile ki, usi din team haar gayi!”“Jis din Rohit Sharma ne smile ki, usi din team haar gayi!”
To kisi ne likha “Neeta Ambani stadium aayi thi… ab samajh aaya kya hua.” Obviously, ye sab majak hai, magar fasn ka dar kuch kam nahi hai. MI jaise team se ummede hamesha unchi hoti hai aur haar sehni mushkil hoti hai. Lekin Haar ki asli vajah kya thi? MI ke bowlers death over me hi pit gaye. Bumrah ki geermaujudgi mein bowling unit thoda kamjor lagta hai. Middle order flop ho chuka tha. Tim David aur Tilak Varma jaise players ko Jimmedari se khelna hoga. Aur to aur Punjab ki aggressive ran niti thi jisme Living Stone aur Prabhsimran ne har over m pressure banaye rakha. MI ke paas unka jawab nahi tha.
Ab aage kyahoga ye to vakthi batayega, Mumbai Indians ko agla match jyada focus aur startegy ke sath khelna hoga taki aisi panoti vapis na lage. As for team ki malkin Nitaji ko full on EVIL EYE PROTECTION SYSTEM bithane hoga. Punjab Kings ne dikha hi kiyak koi bhi team kisi bhi din chauka sakti hai. Khaas kar ki IPL me to kuch bhi ho sakta hai aur MI jaise badi teams kko complacency se bachna hoga.Padhte raho Panoti News for more such funny and sad updates.